Sabtu, 16 Desember 2006

kyun aaj kal...

Dil ka haal hai kya
Kya bataoon mein…
Lakeerein kheenchi hai
In parchaiyon ki raahon mein..
Dil bechain hai kucch dhoondta hai ye..
Kyun aaj kal… kyun aaj kal.

Rahen hai uljhi uljhi si
Khwaab hain bheegi bheegi si
Tum jab mere saath hote ho
To shaam hoti hai mehki mehki si
Yaad aati hai un sehmi sehmi lamhon ki
Jab hum the behosh un narm baahon mein
Us lamhe ke intezaar mein hum hain paagal
Kyun aaj kal… kyun aaj kal.


Is dil ki dayaron mein zara jhankh ke to dekhna
Isme Rehte ho sirf tum zara aazma ke to dekhna
In hawaon ki narmiyan kyun hamein tadpati hain
Jab bhi yaad aati hai unki kyun hamein rulaati hain
In waadiyon me bahut yaadein hain basi
Mere is daaman ko chood ke jaana na kabhi

In baton se kyun dil pighalta hai mera
Jab yaad aati hai unki dil kyun dhadakta hai mera..
Jaane kab hogi woh meri
Kab aayegi dil ko sukoon ye teri
Dooba rehta hoon main in khayaalon mein
Kyun aaj kal… kyun aaj kal.

Honton ke alfaaz cheen leti hai woh
Dil ki becheniyaan mita deti hai woh
Mann ki dard samajh leti hai woh
Gham mushkil palon ka bhula deti hai woh
phir kyun najaane hota hoon mein udaas
kabhi kabhi jab tum hote nahin ho paas
ye pal hum jeena chahte hain abhi
jee bhar ke tumhe dekhna chahte hain abhi
kaash tum hote ab meri baahon mein
poori zindagi simat jaati us pal ki gehraai mein
us pal ki talaash mein bechain hoon mein
kyun aaj kal… kyun aaj kal.

DEDICATED TO YOU.


Tidak ada komentar:

Posting Komentar